Ammi ko samjhne lagi hu mai…

Apne ammi ko samajhne lagi hu mai.

Jannat uske kadmo mai kyun rakhi hai Allah ne, ya baat jaan-ne lagi hu mai.

Bahuth khafa hoti thi, Jab choti thi.

Q ke khana, woh sabke akhir mai khaati thi. Thoda thanda hi sahi, par akele hi khati thi.

Islye nhi khaya karti thi ke,  khana unhe mere sath pasand nhi tha. Bas islye nhi khaa paati thi ke, sabko parosna jo tha. Aur agar awwaal bhaith bhi jaaye, toh sukoon se kaha khaya jaaye.

Nadaan thi, toh samajh nhi ata tha ke, ammi ki aediya q phati hui hoti thi? Apne aedi ko dekhti toh mulayam thi, par ammi ki aediya itni saqt q???

Ab pata chala ke, ammi ne suba se lekar rat tak sabka khyal karne mai bhaagam-bhaagi ki, islye toh aediya mulayam na rahi.

Ammi jab jhoot kehti ki unhe kuch nhi khana hai ya unhone kha liya unka hissa, toh mai samajh jaati thi. Par khane Mai kyu  sharmana woh samajh nhi paati thi..

Woh sharmaati kaha thi. Sabko Kam na padhe, islye apne hisse ke sath samjhota kiye jaati thi..

Sawal par sawal karti thi mai, ke jab bimaar ho toh kuch waqt araam q nhi karti. Ghar ke baaki farzand kar lenge na..

Woh araam karegi toh baakiyo ko chubhegi, unki izzat par khanjar na chale, islye toh woh soti nahi thi..

Itna sab hone par, ammi ki masoomiyat aur sile rehmi kaise na gayi, ye bahuth sochti thi..

Ab samajh aaya ke woh toh Allah ke liye, sabar aur bardaasht dono hi kar leti thi.

Khudko kho kar, usne humey ek muqaam tak pahunchaya hai.

Allah se dua hai ke, hum marte  dum Tak har tareeqe se ammi ki khidmat aur khayal kare, bas itna qabil baney

Apne ammi ko samajhne lagi hu mai.

Jannat uske kadmo mai kyun rakhi hai Allah ne, ya baat jaan-ne lagi hu mai…

Leave a comment

Design a site like this with WordPress.com
Get started